Skep, thanks. It was wonderful. It seems like that Intentblog gurus have been having visions of God who polished their gray matter repeatedly to the extent that they are now exuding halos of holiness from their third eyes hidden behind their fore - hind - heads!
aji choro mera bajoo
jaanay do mujhay ghar
mera baap dekh lega
kutaee kar dega maar maar
***
ari Indu kyon ghabrati ho
main mohabbat tumain karta hoon
teray bapu ko keh doonga
mujhay tum se hai pyaar
kutti maan apnay bachon k saath
main subah saair karnay nikla
halki si hawaa chal rehi thee
ghaas main raasta bana rehi thee
paron par pakshi chpay baithay thay
raastay main pathar thay
bhari gharahi thee
main vichron main dooba
saair ka maza lay raha thaa
achanak hi ek pair k neechay
ek ktiya apnay bachon k saath baithi thee
main dheeray se apnay raastay pe chalta raha
un k apnay pyaar aur zingi main
koee dhkahal na kartay hooay
wah wah kutiya wah wah kavita
zarra socho
mujhay lagta hai main pagal si hooee jaati hoon
mohabbat itni lagi k ab dukh denay lagi hai
vo mujhay mohabbat karti hai
yeh baat to sachi hai
lakin main usay choonay main
maari maari jaati hoon
usko ek saans k saath
apnay under lena chati hoon
apnay under bhar lena chati hoon
apnay dil main baitha lena chati hoon
hay logo , zara dekho na
main kitni prem dewaani hoon......
“poetry is the thirteenth banana in a dozen”.
is ka kya matlab hai?
12ran lelay k ghuchay main
kavita 13van kela kaisay hai?
jisnay yeh kaha hai
kya vo apnay kelay k saath akela hai?
nadi k kinaray baithay
behta pani dekh kar
har shor sharabay
har manush se door ho kar
main apnay dil ki dhun sunti hoon
lagata hai zinda rehti hoon
jaisy khusi se pani behta hai
apnay vicharon main behti hoon
jab halki si hawaa chalti hai
to dosray kinaray peron par
baithat parindon ki batain sunti hoon
jab suraj ki kirnay taron ko chooti hain
main hazaaron taron ko dekhti hoon
(kya din main handera ho gaya?)
meray paon jal ko chootay hain
meray sir ko thanda kar detay hain
chupchap pani dheeray dheeray
chaltay chaltay khushi k lehmay
mmeray jeevan main lay aata hai
nadi k kinaray baithay
maera dil khushi se bhar jaata hai
Just Another Love Poem
meray dil main chaakoo lag giya
marnay ki koee kwahaish na thee
main maraa nahin
lakin nayee paidash lay baitha
jab tu maray pass hoti hai
to maeray andhar aag lag jaati hai
samajh nahin aata
mohabbat kyaa cheez hai
mera dukh tumari mohabbat ka
na milnay waala dukh hai
zindgi kyaa hai agar wakat main
zindgi k maza nahin hai
Block this user | Report AbuseReply